Tafseere Surah Ikhlaas by Shaikh Jalaluddin Qasmi.pdf

Post on 26-Oct-2014

174 views 18 download

description

A very nice book written by ALLAMA JALALUDDIN QASMI in URDU on TAFSEERE SURAH IKHLAAS in 1994 when he was in mumbai.-Allama Jalaluddin Qasmi sahab ki shakhsiyat kisi taaruf ki mohtaaj nahin.Aap ne 11 saal ki umar mein sirf 6 mahine ke andar QURAAN ko hifz kiya.aur uske baad Daarul uloom Devband se AALMIYAT aur FAZILAT ki sanad haasil ki .Aapki taqaareer aam khutaba se alag aur munfarid hoti hain.Aap ahadees ko sanad aur matan ke sath arabi mein QOUTE karte hain.Baaz log yeh ayeteraaz karte hain ke shaikh ne koi kitaab nahi likhi.magar haqeeqat yeh hai ke shaikh ne 12 se zaayed ilmi kitabein likhi hai,jo ke ilmi shaahkaar ki haisiyat rakhti hain aur apni misaal aap hain.Dilchasp baat yeh hai ke ALLAMA sahab ne TAFSEERE QURAAN bhi likhi hai,jo ke TAFSEER ki duniya mein ek naadir o nayaab aur graan-qadr izaafa hai.Magar afsos ki baat yeh hai ke TAFSEER ki yeh kitaab abhi tak manzare aam par nahi aayi hai.uski ishaa-at ke liye ahle khair hazraat ke taawun ki zarurat hai.Allah SHAIKH ki umar daraaz kare.aur aalame islam ko zyada se zyada unke ilm se istefaada karne ki taufeeq de.ameen -Yeh ek nihayat hi umda kitaab hai jise shaikh jalaluddin qasmi ne 1994 mein likha tha jabki woh mumbai mein muqeem the.yeh kitaab TAFSEERE SURAH IKHLAAS padhne se talluq rakhti hai.Tafseer se dilchaspi rakhne wale talba aur ulema is tafseer se zarur faydah uthayen.

Transcript of Tafseere Surah Ikhlaas by Shaikh Jalaluddin Qasmi.pdf