Now Tafseer Surah Al-Mursalat NQSJE SZ010 Mawa: …...... nabi saw is ko parhtay jatay aur main...
-
Upload
nguyenngoc -
Category
Documents
-
view
236 -
download
5
Transcript of Now Tafseer Surah Al-Mursalat NQSJE SZ010 Mawa: …...... nabi saw is ko parhtay jatay aur main...
Now Tafseer Surah Al-Mursalat NQSJE_SZ010_Mawa: tarteeb k lihaaz sa 77
NQSJE_SZ010_Mawa: Mursalat “mursalatun” ki jama hay ,mean “bhejeen hoi'. Jama ka seegha hay
NQSJE_SZ010_Mawa: Is surah may 2 ruku, 50 ayaat, 180 kalimaat, 816 huroof hain NQSJE_SZ010_Mawa: makki door main
NQSJE_SZ010_Mawa: surah qayamah , dahar, mursalat,naba,aur naziyaat ka aik hi mozu hay, yani in may qiyamat aur akhirat ka tazkara aur nataij say khabardar kiya giya hay.
NQSJE_SZ010_Mawa: Sahih bukhari ki riwayat hay Abdullah bin masood (RA) say kay wo Nabi (saw) ky saath mina kay aik ghaar may thay kay achanak Aap
saw par surah mursalaat nazil hoi, nabi saw is ko parhtay jatay aur main sunta jata aur yaad karta jata, aur is ki halawat say main apnay dil ko thanda
mehsoos kar raha tha kay achanak aik saanp namodar hoa,Aap (Saw) nay us ko qatal karnay ka hukm dia ,ham us ki taraf jhaptay to wo nikal para, to nabi (saw) nay farmaya,jis tarah tum us kay shar say mehfooz rahay,wo bhi
tumharay shar say mehfooz rah gaya,yani us nay bhi apni jaan bacha li”. NQSJE_SZ010_Mawa: Is surah may Jahannum ki description hay.
NQSJE_SZ010_Mawa: Surah Dahar me Jannat ka beautifully description tha, yaha aisa he jaisa jahannum khuli aankho se dikhti he.
NQSJE_SZ010_Mawa: Ayah 1-7 may Allah nay 5 qasmain kha kar qiyamat ki khabar di,kay tum mano ya na mano ,qiyamat Aaye gi zaroor. NQSJE_SZ010_Mawa: Ayah 8-15 may un kay Nabi (saw) say mutalbat ka zikr hay.
Jisko nishaaniya nahi dikhti usko mojizaat bhi faaida nahi dege. NQSJE_SZ010_Mawa: Ayah 16-28 may musalsal qiyamat aur Akhirat kay wuqu
honay kay dalail hain NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 1-5 NQSJE_SZ010_Mawa: in hawaoon ki qasam jo paay dar paay bheji jati hain
NQSJE_SZ010_Mawa: 5dafa qasam khai gaye hay hujat tamam karnay kay liyay aur daranay kay liyay, in 5 qasmoon kay baray may mukhtalif aara hain:
NQSJE_SZ010_Mawa: 1-yeh hawaoon ki sifaat hain NQSJE_SZ010_Mawa: 2-yeh farishtoon ki sifaat hain
NQSJE_SZ010_Mawa: 3 umbiya ki siffat hain NQSJE_SZ010_Mawa: 4-yehinsaan kay nafs kay under ki kaiyfiat hain NQSJE_SZ010_Mawa: Zyada easy he, ke ye Hawaao ki qisme he, Allah swt ki
makhlooq ki qisme. NQSJE_SZ010_Mawa: Ziada tar aara kay mutabiq yahan hawaoon ka hi tazkara
hay.yeh hawaain Allah ki qudrat ka izhar hain NQSJE_SZ010_Mawa: Achi hawain insaan ki zindagi may khair lay kar aati hain,
kabhi taiz Andhi ka roop dhar laiti hain, taiz hawa say azaab ki hawain murad hain NQSJE_SZ010_Mawa: Hawaae baadal, polin grains ko bikhraati.
NQSJE_SZ010_Mawa: Alag alag karti he, - tez aandhi ki hawaae jo inke saamne aati he usko phaad deti he.
NQSJE_SZ010_Mawa: jab taiz hawa chalti to Aap( saw) kay chahray ka rang badal jata. Hazrat Aishah( ra) pochteen ke log hawaa ke chalne se khoosh hote he,
aap kyu aise ho gaye ? to Aap (saw) farmatay kay mughay dar lagta hay kay yeh qom-e- Aad wali hawa na ho. (Mafhoom)
NQSJE_SZ010_Mawa: Andhi aur tofani hawaoon ki duain: NQSJ_REPLAY_FQ: ي أسـألـك خيـرها، وأعـوذ بك من شـرها اللهـم إنـNQSJE_SZ010_Mawa: 1- Allahumma inni asaluka khairaha wa aouzubika min sharreha NQSJE_SZ010_Mawa: Aay Allah may sawal karta hoon tugh say is ki bhalai ka aur
main panah chahta hoon tugh say iskay shar say. NQSJ_02_HT: ي أسـألـك خيـرها، وخيـر ما فيهـا، وخيـر ما ارسلـت به، وأعـوذ بك اللهـم إنـ
.من شـرها، وشـر ما فيهـا، وشـر ما ارسلـت به “O Allah, I ask You for its (the wind’s) goodness, the good within it, and the good it was sent with, and I take refuge with You from its evil, the evil within
it, and from the evil it was sent with.” NQSJE_SZ010_Mawa: 2- Allahumma inni Asaluka khairaha wa khaira ma feeha wa
khaira ma ursilat bihi wa aouzubika min shari ha wa sharri ma feeha wa sharri ma ursilat bihi
NQSJE_SZ010_Mawa: Aay Allah may sawal karta hoo tugh say is ki bhalai ka aur us cheez ki bhalai ka jo is may hay or us cheez ki bhalai ka jis kay saath bhaija giya hay is ko, aur may panah mangta
NQSJE_SZ010_Mawa: Hawaao ke chalne ke waqt, dil pe mojh feel kare & insaan ke dil me Allah ki yaad aati he
NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 6 NQSJE_SZ010_Mawa: yeh hawain hujjat tamam karney k lia or daranay k lia chalti
ha NQSJE_SZ010_Mawa: nuzur - nazeer NQSJE_SZ010_Mawa: daraney walli
NQSJE_SZ010_Mawa: shafqat sa darana NQSJE_SZ010_Mawa: in hawaoon kay zariyay aik tarah ki daant bhi di jati hay Allah
ki taraf say ,kay hoosh may Aajao..itni bari hawaoon ko qabo may rakhany wala kiya tumhain qabo naheen kar sakta.
NQSJE_SZ010_Mawa: Baaz dafa Allah swt insaano ko khauf dilaane ke liye hawaa se daant dila rahe he .. NQSJE_SZ010_Mawa: Hawaao ke maalik se daro, hawaa lateef he ya insaan, itni
badi zaat jo hawa ko rehmat banaa de agar chaahe to hawaao se ghar ki chatt udaa de …
NQSJE_SZ010_Mawa: Hawaao me Allah swt ki sifaat paai jaa rahi he, thandi sar saraahat waali hawa remat he, tez aandhi Allah swt ka jabbar he.. NQSJE_SZ010_Mawa: itni badi hawaao ko qaboo me karne waala kyat um ko qaboo
nahi kar sakta, ye rabb chaahe to NQSJE_SZ010_Mawa: Yeh Allah ki sifaat ka izhaar bhi hay.
NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 7
NQSJE_SZ010_Mawa: un 5 qasmoon kay baad Jawab-e -qasam yeh hay kay qiyamat ka wada pora ho kar rahayga
NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 8 , 9 , 10 NQSJE_SZ010_Mawa: Jis waqt sitaray baynnoor hojaingay,yani in ki roshni khatam
ho jaigi, Jab aasman may shigaf par jaingay aur wo udharnay lagay ga. Pura nizaam bigadne lagega. Aur jab pahar khaak bana kar ura diyay jaingay
NQSJE_SZ010_Mawa: Aapis me saare sitaare saiyyare takraane lagege, ho sakta he isi ki wajah se asmaan udhed diyaa jaaye NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 11
NQSJE_SZ010_Mawa: aur jab rasooloon ko waqt e muqarar par ikhata kiya jaiga. Jab un ki gawahi dilani hogi,kay in anbiya nay apna kaam pura kiya lakin
logoon nay un ko jhutla diya. NQSJE_SZ010_Mawa: Uqqitat waqt say hay ,jis ka mani hay “kisi muqarar waqt par phunch jana”, munaasib waqt ka mamla.
NQSJE_SZ010_Mawa: Ishara ambiya ki taraf bhi he, ke bulaaye jaaege … NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 12 , 13 1, 4
NQSJE_SZ010_Mawa: Ujjilat ajal say hay. Yeh khaas muddat ko kahtay hain. NQSJE_SZ010_Mawa: Yeh sab kaam faisaly kay din tak kay liyay postpone kar diyay
gaye hain NQSJE_SZ010_Mawa: Duniya me nahi kiya, kyu delay hua ? Faislay ka din yani qiyamat ka din tak
NQSJE_SZ010_Mawa: wohi asal din hay faisalay ka...jis din Allah ki adalat may khara kia jaiga.
NQSJE_SZ010_Mawa: Eg: kisi ka mukadma adaalat me tha, peshiya hui mujrimo ki, but aakhir me kaha jaata he faisle ka intezaar karo .
NQSJE_SZ010_Mawa: Allah swt duniya me mujrimo ko mohlat deta he, fir ek din peshi hogi Allah swt ke adaalat me. NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 15
NQSJE_SZ010_Mawa: wo tabahi aur halakat ka din hoga. NQSJE_SZ010_Mawa: yeh Ayah 9 bar aai hay is surah may.
NQSJE_SZ010_Mawa: surah ko parhtey hue kafir ko bhool jaoo NQSJE_SZ010_Mawa: mukaziib
NQSJE_SZ010_Mawa: Kaafir – Denial me, pahuchta nahi, agar pahuch gaya to leta nahi he, mukazzib: jis kay NQSJE_SZ010_Mawa: paas aik baat pohunch gai aur phir bhi na mana
NQSJE_SZ010_Mawa: Yani sun kar na sunnay wala aur maan kay na mannay wala.In ki saza ziyada bari hay.
NQSJE_SZ010_Mawa: Eg – Bache ko pukaara, bache ne suna nahi, room me nahi tha Maa ne baad me realize kiya ke bache ne suna nahi, but vo bacha jo betha sun raha ke maa pukaar rahi he but react nahi karta ignore karta he uspe to
maa ko bhi gussa aata he. NQSJE_SZ010_Mawa: Allah swt farmaate he, Deny karte ho, takzeeb – kabhi zabaan
se kabhi amaal se, kya tumne apne liye hamaara koi diff kanoon socha tha ?? NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 16
NQSJE_SZ010_Mawa: tum say pahlay qamoon ko ham nay isis waja say halak kiya. NQSJE_SZ010_Mawa: kia tum ney ghor nahi kia
NQSJE_SZ010_Mawa: Allah kay Qanoon naheen badaltay, jais naa maanne waali pichli kaume barbaad hui aaj ki bhi hogi
NQSJE_SZ010_Mawa: Jab ham maujooda haal ke mukazzib ko dekhte he, hamaare judgments change ho jaate he, ham sochte he inka huqooq ul ibaad acha he,
Allah bakhs dega, Allah ki marzi jise chaahe bakhshe, but kanoon change nahi hote Allah ke NQSJE_SZ010_Mawa: Mujrim ka anjaam bura hoga chahay kisi bhi daur ka mujrim
ho,Allah sab mujrimoon kay saath aisa hi karta hay. NQSJE_SZ010_Mawa: halkat ha jhutalney walo k lia ager kal pakad hui to aj bhi ho
gi NQSJE_SZ010_Mawa: ~*~ Self Check : ham apni zindagi ka jaiza lain kay hamari zindagi may kahan kahan takzeeb hay, hamaari khushi gham ke mauke check
kare .. ~*~ NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 20
NQSJE_SZ010_Mawa: Tareekh say sabaq dainay kay baad ab insaan ki apni takhleeq say sabaq diya ja raha hay
NQSJE_SZ010_Mawa: Kiya ham nay tumhain haqeer pani say paida naheen kiya, tum apnay aap ko itna bara kiasya samaghtay ho,tum ko to Allah nay haqeer pani say paida kiya hay
NQSJE_SZ010_Mawa: yeh baat akhri soortoon may bar bar aai hay .. NQSJE_SZ010_Mawa: tum ko haqeer panis a banaya
NQSJE_SZ010_Mawa: ayaah 21 , 22, 23 , 24 NQSJE_SZ010_Mawa: tum ko Alah nay maa kay payt may 9 maah say kuch upar
neechay rakha, tum kitni der rahe, Allah swt ne sab likh liya NQSJE_SZ010_Mawa: phir Aik andaza bhi thahra diya kay bacha kab paida hoga. NQSJE_SZ010_Mawa: yeh insaan k ikhtiyar main nahi ha
NQSJE_SZ010_Mawa: Allah swt hi bahtareen andaza thahranay walay hain. NQSJE_SZ010_Mawa: Aaj ke daur ka naya fitna – Baaz log plan karte he ke iss din
baby born ho, kya he kis ki himmat ke vo bacha usi din paida ho ?? log kitni bhi planning karle hoga wahi jo Allah swt chaahe …
NQSJE_SZ010_Mawa: jitni fitrat kay nizam may dakhal andaziaan hongi ,utnay hi abnormal bachay paida hongay NQSJE_SZ010_Mawa: khush wohi rahay ga jo Allah ki di hoi taqdeer par razi hay
NQSJE_SZ010_Mawa: Allah kay ban jao,isi may kamyabi hay. Tabahi hay jhutlanay waloon kay liyay.
NQSJE_SZ010_Mawa: Kal ke log ham se kitne bade they, kal vo bhi aise hi they, jaise ham he … but unka kya nateeja hua .. NQSJE_SZ010_Mawa: Tabaahi he unlogo ke liye jinhone qainaat dekhi, nabi aaye fir
bhi unki takzeeb ki … to tumhaara haal kya hoga ..Soch Lo !!!! NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 25
NQSJE_SZ010_Mawa: Kiya ham nay naheen banaya zameen ko samaitnay wali. NQSJE_SZ010_Mawa: yeh zameen maa ki goood ha
NQSJE_SZ010_Mawa: Kifat' - ka fa ta' say hay ,milana or jama kar laina,jo bohot saari cheezoon ko apnay under samait lay, zinda murda insaan ko samet ti he
zameen, NQSJE_SZ010_Mawa: Duniya me zindagi me to hame panaah deti he, but marne ke
baad kaise ?? Agar marne ke baad panaah naa de zameen, to socho kya hoga ??
NQSJE_SZ010_Mawa: Kaise Allah swt ne zameen ko smell proof kar diya … Bakri Eid ke time pe itna log zameen me dafnaate he, but badboo nahi aati .. NQSJE_SZ010_Mawa: Jab zinda to maa ki tarah iske seene pe dodte ho & marne ke
baad ye tumhe apni gaud me le leti he . kya t um e ghor nahi kiya uss rabb ki kainaat pe jiss ne ye zameen ko banaaya ?
NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 26 NQSJE_SZ010_Mawa: Zinda aur murda insanoon ko apnay under samait laiti hay zameen.
NQSJE_SZ010_Mawa: Zameen agar apnay under na samaitay to aaj ham zameen par na rah saktay badbu ki waja say.
NQSJE_SZ010_Mawa: zameen apnay under seal kar laity hay smell ko NQSJE_SZ010_Mawa: Murdoon ko Apni good may lay laiti hay.
NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 27 NQSJE_SZ010_Mawa: rawasiya rasiatun ki jama hay. Rassi bhi isi say hay. NQSJE_SZ010_Mawa: Allah nay is zameen ko raseeoon say bandha hoa hay.
NQSJE_SZ010_Mawa: Shamikhaat shamikatun ki jama..(sheen meem kha) is ka root hay.
NQSJE_SZ010_Mawa: Kaise Allah swt ne pahaado ko masakh kar diya, pahado ki top pe kaise baraf hoti he, in sab nazaroon par ghor karo. Falak boz pahaado ki
taraf dekh lo. NQSJE_SZ010_Mawa: Zameen may pahar banai, isi zameen par ham ghar banatay hain.
NQSJE_SZ010_Mawa: Allah nay hi hamain meetha paani pilaya, chashmoon aur naddioon ki soorat may, kahi dariya, kahi trees lagaaye, jadi butiya fela di –
dawaaiya banti he.. NQSJE_SZ010_Mawa: Dunya ko quran ki nazar say kabhi dekha hay?? Itni naimate
he Allah ki kabhi ghor kiya ?? NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 28 NQSJE_SZ010_Mawa: tabahi hoi us din jhutlanay waloon ki
NQSJE_SZ010_Mawa: Aaj agar tumhain barbad kar bhi diya jai, tu tum kuch naheen kar saktay, yeh tumharay Aamal ka natija hay.
NQSJE_SZ010_Mawa: Jo khulay dalail honay kay bawajood na manay NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 29 , 30 , 31 NQSJE_SZ010_Mawa: In ko hukum hoga chalo is Aag ki taraf jis ko tum jhutlatay
thay. NQSJE_SZ010_Mawa: chalo us saaye ki taraf jo teen shakoon wala hay.
NQSJE_SZ010_Mawa: jahannum ki Aag ka shula 3 taraf ja raha ho ga.
NQSJE_SZ010_Mawa: bohot bara dhuan hoga jo har taraf say ghair layga, duniya me baaz dafa dhue se thandak feel hoti but jahannum me ye nahi he.
NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 32 , 33, 34 NQSJE_SZ010_Mawa: beshak yeh chingarian phainktay hain baray baray mahallat ki
sorat may NQSJE_SZ010_Mawa: yeh jahannum ki description hay. Jahannum ka kitna dhuwa –
Upar jaa ke 3 shaakho me badal jaata he. NQSJE_SZ010_Mawa: goya kay wo zard rang kay oont hain - jahannum ki aag may say jo chingari niklay gi, wo baray baray zard oontoon ki tarah hongi. Allah u
Akbar NQSJE_SZ010_Mawa: Sufur – Asfar ki jamaa
NQSJE_SZ010_Mawa: barbadi hay jhutlanay waloon kay liyay NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 35 , 36 , 37 NQSJE_SZ010_Mawa: yeh wo din hoga jis may no bool sakain gay, bolti bandh,
Wahshat taari hogi NQSJE_SZ010_Mawa: zaban band ho gi, bolna bhi chahain gay to chup kara dia jai
ga, koi uzar na pesh kar sakain gay, dunya may to bohot uzar tarashtay thay NQSJE_SZ010_Mawa: Allah swt farmaate he, Qayaamat ke din hoontoon ko si dia jai
ga. NQSJE_SZ010_Mawa: tabahi hay us din jhulanay waloon kay liyay, us din tabahi may kia shak ho ga
NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 38 NQSJE_SZ010_Mawa: Aur kaha jai ga Aay kifiroon
NQSJE_SZ010_Mawa: yeh faislay ka din hay,ham nay tum ko aur agloon ko bhi jama kar diya, yeh Akhri din hay.
NQSJE_SZ010_Mawa: yeh badkaroon kay liyay fard e jurm ka din hay. NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 39 NQSJE_SZ010_Mawa: Allah swt farmatay hain: Agar hay tumharay pass koi chaal to
lay aao meray khilaf. NQSJE_SZ010_Mawa: Aaj tumharay haath paoon gawahi dain gay, eke k zarra
gawaahi dega uss din. NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 40
NQSJE_SZ010_Mawa: us did jhulanay waloon kay hissay may tabahi hogi, in ki koi chaal na chalay gi NQSJE_SZ010_Mawa: In Aayah se kya gum sum nahi hote, bolti bandh nahi hoti ??
baray baray sardar chup bhaitay hongay.daant par rahi hogi, NQSJE_SZ010_Mawa: ab yaha dekho – Allah swt ne tumhaare saath koi zulm nahi
kiya .. NQSJE_SZ010_Mawa: Ab tasweer ka dosra rukh hay, he waha Aayate jannat ki, but Allah swt ne kaise waha bhi daala ke He Tabaahi Jhutlaane waalo ke liye …
NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 41, 42, 43, 44 NQSJE_SZ010_Mawa: beshak parhaizgar Allah ki rahmat kay saayoon aur
chashmoon may hongay, aur phalloon may jo wo pasand kartay hongay
NQSJE_SZ010_Mawa: un say kaha jai ga khao aur pio mazay say,in aamal kay badlay may jo tum kia kartay they
NQSJE_SZ010_Mawa: wo kahain gay itnay to amal naheen thay - to kaha jai ga kay ham isi tarah sila dia kartay hain Amal karnay waloon ko
NQSJE_SZ010_Mawa: hum thorey kam karney walo ko barey siley datye hain NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 45
NQSJE_SZ010_Mawa: halakat hay jhutlanay waloon kay liyay, NQSJE_SZ010_Mawa: ayah 46, 47 , 48 , 49 ,50 NQSJE_SZ010_Mawa: Jab Kaha jaata tha ke rabb kea age jhuko to nahi jhukte they,
to tabaahi ho Jhutlaane waale ke liye .. NQSJE_SZ010_Mawa: Aakhir kis baat par wo is kitab kay baad eemaan lain gay
NQSJE_SZ010_Mawa: is kitab kay baad to Apna naama e aamaal hi parhain gay to eeman laingay. NQSJE_SZ010_Mawa: jannat ki baat kay saath yeh baat is liyay kay : 1-jannation ko
tasalli di gai kay agar ham jhutla rahay hotay to ham mahroom ho jatay, 2-jo loog in ko satatay thay aur yeh sabar kartay thay to un ka anjaam bataya ja
raha hay kay wo satanay walay tum say door kar diyay gai, 3- Agli ayaat may jahanamioon ka zikr hay
NQSJE_SZ010_Mawa: Surah Dahar me Jaise jahannumi kho thora, waise yaha jannati ka thora he. Aaj chaahe jitni aish karo kal bhugatna padega. NQSJE_SZ010_Mawa: khao aur aish karo thora sa waqt dunya may ,beshak tum
mujrim ho NQSJE_SZ010_Mawa: tabahi hay jhulanay waloon kay liyay
NQSJE_SZ010_Mawa: yeh wo loog thay kay jab in say kaha jaata tha kay apnay rab kay aagay jhuku to naheen jhuktay thay
NQSJE_SZ010_Mawa: is liyay tabahi hay jhulanay waloon kay liyay NQSJE_SZ010_Mawa: Aakhir kis baat par wo is kitab kay baad eemaan lain gay NQSJE_SZ010_Mawa: is kitab kay baad to Apna naama e aamaal hi parhain gay to
eeman laingay NQSJE_SZ010_Mawa: khulassa
NQSJE_SZ010_Mawa: asal tazakara yahan jahanamioom ka hay NQSJE_SZ010_Mawa: yahan jitnay ash kar lo ,Akhir may to bhugatna paray ga
NQSJE_SZ010_Mawa: is poori surat may jahan mukazibeen ka zikr ayah hay ,us par ghor karain kay yeh amal meri zindagi may to naheen hay. NQSJE_SZ010_Mawa: Rivaayat – banu Saqeem ko jab Nabi SAW ne deen ki daawat
di & namaaz ka tareeqa bataaya, to farmaaya – koi aisi namaaz bataaye jiss me rukoo & sajdaah naa ho, ham ameero ke liye zameen pe girna, muh
lagaana sajde me ye aib ki baat he, uspe Allah ke nabi ne farmaaya – “Uss din me koi khoobh nahi jis me Allah ki baar gaah me rukoo & sajdaah nahi” NQSJE_SZ010_Mawa: khana peena,ruku, namazain na parhna. In sab par ghor
karain aur apnay amal par ghor karain.