Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program

17
Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program ِ م يِ حَ ّ ر ل اِ نٰ َ مْ حَ ّ ر ل اِ َ ّ اِ مْ سِ بSalsabeel Group

description

Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program . LUQMAN KI NASIHATEIN (Surah Luqman 13-19). بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ . Salsabeel Group. - PowerPoint PPT Presentation

Transcript of Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program

Luqman Hakeem ki Apne bete ko Nasihatein

Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program LUQMAN KI NASIHATEIN(Surah Luqman 13-19)

Salsabeel Group(13) Allah ke sath shirk na kerna, shirk tou bada zulm hai

Tashreeh: Shirk - Khaliq ko makhluq se milana. 3 tarah ka hota hai: Aluhiyat mai shirk: Allah ke alawa dusron se dua,madad mangna.Asma o sifaat may shirk: Allah ke naam dusron keliye rakhna ya sifaat e Ilaahi ko makhluq may rakhna.Rabubiyat mai shirk: zameen o asmaan ka Khaliq Allah ke alawa kisi aur ko banalena.

2AmalShirk - buhat bada zulm hai agar shirk par maot - hameshagi ki jahannum Sachchi Touba - Allah Gafoorur Raheem hai Shirk se bachana hai aur shirk aur uss ke zariyon se bachana hai Allah ki Asma o sifaat se maarifat karani hai Apnay bachchon ko Allah se jodna hai

(14) Aur hum ne inasan ko uss ke maa baap ke muttaliq takeed ki hai k jiss tarha Maa takleef utha ker bachchey ko apnay pait mai rakhti hai aur janam deti hai. Phir usko dou saal tak dudh pilati hai. Allah ka shuker kerta reh aur apnay maa baap ka bhi. Ke tum ko Allah hi ki taraf laut ker ana haiTashreeh: Pehle Huqooq e Allah se waqif kia aur ab huqooq ul ibaad se waqfiat ki jarahi hai

**** kaha jata hai ke yeh Allah ki taraf se hukum hai , Luqman hakeem ki naseehat nahi ****

la ilaha ila Allah wahdahu la sharika lah, lahu al-mulk wa lahu al-hamd, wa huwa `ala kulli shayin qadir (15) Agay farmaya ke agar maa baap aulad per zor daalein ke tu merey sath kisi aisi cheez ko shareek kerey jiska tujhay kuch bhi ilm nahi to unka kaha na maanna. Haan duniya ke kaamo mai in ka achi tarah sath dena aur jo shaks meri taraf ruju Kerley uskay rastay per chalna. Phir tumko meri taraf laut ker ana hai. Jo kuch tum kertey rahay ho uss se phir mai tumko agaah kerdunga.

Tashreeh: Kaha na manna se murad battamizi nahi bulke unke shirk kerne k dabo dalein ke bawajood deen pr qayem rahna hai. Agar tum islam qubool kerlo ya shaori musalman ban jao aur maa baap abhi kufr pr hon ya riwaji musalman hon tab bhi tum unki khidmat kerte rahna.

Hz Saad bin abi Waqas rz farmatay hain ke yeh ayat merey liye utri. Mai apni maa ka buhat farmanbardaar tha, magar merey Islam lanay per meri maa ne bhook hartaal shuru kerdi. Do din faqay mai guzray to mainay kaha ke agar teri ek jaan ke badlay sau bhi hotein to bhi mai Islam se nahi phirta Is baat per unhoun ney bhook hartaal chodi.Hadith: Nabi saw se Kabair ke mutaliq daryaft kiya gaya tou aap ne fermaya k allah ke sath shareek banana aur maa baap ki nafermani kerna, kisi admi ka qatal kerna aur jhoti gawahi dena. (sahi bukhari:2473)Maa Baap ke Liye ki jane wali bahtreen Dua:

Rabbir hamhuma kama Rabbayani Sagheera (Al-Isra:27)

Aye Mere Rabb Jiss Tarha Unhon ne Mujhe Bachpan se Pala Ussi Tarha Tu bi Unn pr Raham Ferma. AmalMakhlooq ki farmanbardaari mai Khaliq ki nafarmani nahi kerniMaa baap ki khidmat kerni hai ibadat nahiDuniyawi kaamo mai unka sath dena hai aur kehna maanna hai magar jahan Allah ki nafarmani ki baat aye wahan nahi maanniAllah ki taraf lautnay ka khauf rakhna hai ke woh sub kaamo se baa khabar hai (16)

Luqman hakeem ne ek raaey ke danay ki misal deker apnay betey ko samjhaya ke itna sa daana bhi agar kisi pathar mai, ya asmano mai ya zameen mai chupa hua ho to Allah usko qayamat ke din laamaujud kerdeyga. Kuch shak nahi ke Allah Bareek been hai Khabardaar hai.Tashreeh: Raaey ke dane ki missal Raaye ka dana bahut chota jiss ka wazan toul may mahsoos na hota aur na tarazoo ke padle ko jhuka sakta hai Allah usse bhi dekhta hai. Allah Al-Lateef hai.

Hadees : agar tum may se koi shaks besuraakh ke pathar may bhi amal karega jis ka koi darwaza ya khidki na ho Allah usse bhi zahir kerdega ,chahe wo kaisa hi amal ho (Musnad e Ahmed 3/28) Andheri ratt may chalney wali choonti ki harkat se bhi Allah bakhabar hai.

AMALApnay bachchon ko misal deyker samjhana chahiye ke unhe baat zahen-nasheen hojayeAllah ke Khabardaar aur Bareek been honay ka ehsaas insaan ko gunah se rokta hai. Iska ehsaas apnay bachon ko dilaya jaaye takay bachay maa baap se chup ker bhi ghalat kaam na kerein.Is cheez ka bhi ehsaas dilana ke Allah humaray her amal ko chahey woh raaey ke dana ke barabar ho qayamat ke din samnay ley ayega. Luqman hakeem ne phir se apnay betey ko pyar se bula ker kaha, ke namaz ki pabandi kerna

Pehlay Allah ka khauf dilaya aur samjhaya ke Allah her amal ko dekh raha hai. Phir namaz ki baat ki takay betey ko namaz chodnay mai yeh ehsas rahey ke Allah isko qayamat ke din samnay ley ayega.

Pehlay bachchon ke eemaan ki jadd mazbuth kerein phir faraaiz ki naseehat kerein

Jo shaks din mai panch waqt Allah ke samnay hazir hoga, usko haq baat kehnay ki himmat ayegi. Woh logo ki ghalat baaton per unko zarur rokeyga.

Namaz insaan ko buraayon se bachati hai. Namaz ke zariye insaan ka Allah se gehra taaluq banta hai.

AmalJab tak namaz ki pabandi nahi hogi, Amar bil Maaruf aur Nahi anil Munkar nahi hosakta.

Luqman apnay betey ko leadership quality sikharahe hain.

Jo bacha bachpan se hi trained hoga who baad mai ijatmai kaam kersakeyga.

Hadith: Nabi saw: Meri Ankhon ki Thandak Namaz Hai.

(17)

Aur Luqman hakeem ne kaha ke logo ko achay kaam kernay ka mushwara detey rehna aur buri baaton se mana kertey rehna. Phir farmaya ke jo musibat tujh per aye us per sabar kerna. Beshak ye badi himmat ke kaam hain.

Jab Amar bil Maaruf aur Nahi anil Mukar keringay to mukhalfat zarur hogi. Log bura maaneingay aur mushkilaat bhi daal saktay hain. Isliye pehlay hi naseehat kerdi ke sabar se kaam lena, kamzor mat pedna.

Sabar ke maani hain saabit qadmi.Azm ke Maani hain: 1. kisi kaam ke liye pukhta irada kerlena. 2. milay hoye ahkamat ko anjam dene ke liye aur unn par jamne ke liye jo himmat chahiye. 3. Allah ke qatai hukum ko manna Hadees e Nabwi saw ka khulasa: Momin dou tarah ke hotay hain 1. dheelay dhalay 2. mazbuth. Allah ko donu pasand hain magar mazbuth ziyada mehboob hain Luqman hakeem apnay betey ko mazbuth momin bananachahtay they.AMALBachchon ko pehlay se khatray ke baray mai agaah kerkay naseehat kerni chahiyeApnay bachon ko mazbuth momin bananay ki koshish kerni chahiye (18)

takkabur kertey hue logo ke samnay gaal na phulana aur zameen mai akad ker mat chalna. Isliye ke Allah kisi itranay walay shekhi khoray ko pasand nahi kerta.

Sair : uont ki ek bimari jis se uski gardan tedhi hojati hai - murad hai woh shaks jo takkabur aur ghurur ki wajah se logo se rukh pher ley.

Maraha: 1. haya aur sharam ki chadar ko utaar phainkna 2. akarna, shiddat e farah 3. who nishat jis mai halka pan aur sabqi paayi jaaey.

Fa s tareekay se akad ker chalna ke dusron ko lagay ke who is kay samnay haqeer hain.

Mukhtal: jo ghareeb rishtaydaaron ko pasand na kerey, itranay wala. Logon se murad ghareeb rishtaydar, maa baap, kamzor log wagera.

A M A LPehlay Allah se taaluq joda, phir maa baap se, phir faraaiz ki ehmiat yaad dilatay hue ijtamai zimedari ki bhi naseehat ki, aur ab ikhlaqi tarbiyat ki jarahi hai. Isi tarteeb se bachon ko sikhana chahiye.Amr bil Maaruf aur Nahi anil Munkar keliye achay ikhlaq aur ajizi zaruri hai.(19) Apni chaal mai etadaal kiye rehna aur boltay waqt zara neechi awaz rakhna. Unchi awaz ko gadhay ki awaz se tashbih di aur kaha sub se buri awaz gadhay ki hoti hai.

Darmayana chaal chalnay ka hukum diya gaya.

Nabi saw ke ikhlaq mai narmi thi, tabiyat sakht na thi, Aap saw na shor kertey, na Aap saw fauhash go the. Jo cheez dil ko na bhaati us mai nuqs na nikaltay balkay us se ghaflat barattay, magar dusron ko naa umeed bhi na kertey. Aap saw ne 3 cheezein chod rakhi thein 1. jhagda 2. takkabur 3. jo kaam kiya na ho us mai na padna. (Riwayat)

Apnay bachchon ko misal deker samjhana chahiye.

Chaal aur dhaal achay rakhnay ki bhi naseehat kerna chaye kyon ki momin apni chaal dhaal se pehchana jaata hai.

AMALJazakumullah Khairan for watching!